laakh shadab ho abad ho duniya ka chaman
dil ki qismat men hai tanhai ke kanTe ki chubhan
be-sahara ye hamesha se raha hai yaaro
us ne har dard akele hi saha hai yaaro
sirf ik raaz jo siine men chhupa baiTha hai
dost ban kar use taskin diya karta hai
sochta huun ki main vo raaz bhi ifsha kar duun
dil ko ab dahr men bilkul hi akela kar duun
Leave a Reply