na de fareb-e-vafa le na imtihan apna
hai be-niyaz-e-karam yar-e-bad-guman apna
pahunch chuke the sar-e-shakh-e-gul asiir hue
luta hai samne manzil ke karvan apna
har ek zarra-e-alam hai aur sajda-e-shauq
rakhen utha ke vo ab sang-e-astan apna
vahi hai alam-e-afsurdagi vahi ham hain
khushi ka jis men guzar ho vo dil kahan apna
nigah-e-yas hai tafsir-e-sad-hazar niyaz
sukut laakh bayanon ka ik bayan apna
fareb hi sahi taskin kuchh to hai dil ko
rahe khuda kare qaaem yunhi guman apna
vafa ka naam hi duniya se uth chuka ‘kaifi’
kahan zamane men ab koi qadr-dan apna
Leave a Reply