aisa khamosh to manzar na fana ka hota
meri tasvir bhi girti to chhanaka hota
yuun bhi ik baar to hota ki samundar bahta
koi ehsas to dariya ki ana ka hota
saans mausam ki bhi kuchh der ko chalne lagti
koi jhonka tiri palkon ki hava ka hota
kanch ke paar tire haath nazar aate hain
kaash khushbu ki tarah rang hina ka hota
kyuun miri shakl pahan leta hai chhupne ke liye
ek chehra koi apna bhi khuda ka hota
Leave a Reply