• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Lazzat-E-Agahi

Lazzat-E-Agahi

ahmad-nadeem-qasmi

main ajiib lazzat-e-agahi se do chaar huun

yahi agahi mira lutf hai mira karb hai

ki main janta huun

main janta huun ki dil men jitni sadaqaten hain

vo tiir hain

jo chalen to naghma sunai de

jo hadaf pe ja ke lagen to kuchh bhi na bach sake

ki sadaqaton ki nafi hamari hayat hai

mire dil men aisi haqiqaton ne panah li hai

ki jin pe ek nigah dalna

surajon ko butun-e-jan men utarna hai

main janta huun

ki hakimon ka jo hukm hai

vo dar-asl adl ka khauf hai

vo sazaen dete hain

aur nahin jante

ki jitni sazaen hain

vo sitamgari ki ridaen hain

mujhe ilm hai

yahi ilm mera surur hai ye ilm mera azaab hai

yahi ilm mira nasha hai

aur mujhe ilm hai

ki jo zahr hai vo nashe ka dusra naam hai

main ajiib lazzat-e-agahi se do-char huun

Filed Under: Nazm Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

firaq-gorakhpuri

Bastiyan dhundh Rahi Hain Unhen Viranon Mein

meer-mehdi-majrooh

Ghairon Ko Bhala Samjhe Aur Mujhko Bura Jaana

poet

Koi jhuTa Qayas Rahne Do

Wo Khaali Hath Safar-E-Ab Par Rawana Hua

saleem-kausar

Milna Na Milna Ek Bahana Hai Aur Bas

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet