ishq ab javedan nahin milta
ye farishta yahan nahin malta
aap lakhon men ek hain sahab
mere jaisa kahan nahin malta
aap ne likh to di kitaben sau
koi misra.a ravan nahin malta
raah ke pattharon se yaari kar
roz to karvan nahin milta
tum guman men ho to raho kuchh roz
sabhi ko ye saman nahin milta
ḳhaak apni jabin pe mal ke chal
bin zamin asman nahin milta
Leave a Reply