jab kabhi dard ke maron ki taraf dekhta huun
main haqiqat men sitaron ki taraf dekhta huun
Dubta huun to mujhe haath ka.i milte hain
kitni hasrat se kinaron ki taraf dekhta huun
chadaren un ko mayassar hain magar mujh ko nahin
main to sardi men mazaron ki taraf dekhta huun
kyon ravani liye aaya hai yahan par dariya
fikr hoti hai savaron ki taraf dekhta huun
ab mire ghar se kahan chand dikha.i dega
main ye hasrat liye taron ki taraf dekhta huun
haan musibat koi aa jaa.e achanak mujh par
to kahin bhi nahin yaron ki taraf dekhta huun
Leave a Reply