kab gul hai hava-khvah saba apne chaman ka
va jumbish-e-dam se hai rafu zakhm-e-kuhan ka
betabi-e-dil tere shahidon ki kahan jaae
kuchh kam rag-e-bismil se nahin taar kafan ka
deta hai phir aine ko kis vaste bosa
vo aap jo dil-dada nahin apne dahan ka
manind-e-habab aap kiya ishq ne ‘mamnun’
paaya na nishan jaama men apne kahin tan ka
Leave a Reply