• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Phir surKH Phul Shahr Ke peDon Mein Aa Gae

Phir surKH Phul Shahr Ke peDon Mein Aa Gae

phir surḳh phuul shahr ke peḌon men aa ga.e

ruhon men jitne zaḳhm the chehron men aa ga.e

har ik daricha phuul se chehron se bhar gaya

ab to chaman bhi shahr ki galiyon men aa ga.e

dil men tire ḳhulus ke dariya the gar ravan

sho.ale kahan se phir tiri ankhon men aa ga.e

ab dekhiyega kis tarah uḌti hain kirchiyan

patthar se log a.ina-ḳhanon men aa ga.e

ham saya-dar peḌ ke niche hain zaḳhm zaḳhm

patthar kahan se reshmi patton men aa ga.e

bas itne hi jari the harifan-e-aftab

chamki zara si dhuup to kamron men aa ga.e

‘betab’ ab to lauT ke jaana muhal hai

ham gahre paniyon ke jaziron men aa ga.e

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Aankhen Khuli Khuli Hain Nazar Le Gaya Koi

Mahshar Mein Mil Sakega Sahaara Rasul Ka

Is Ehtimam Se Parwane Peshtar Na Jale

Upar Baadal Niche Parbat Bich Mein KHwab Ghazalan Ka

poet

Tere Aage Adu Ko Nama-Bar Mara To Kya Mara

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet