KHamushi Rakkhi to Chahat baDh Gai

ḳhāmushī rakkhī to chāhat baḌh ga.ī

merī chup se us kī himmat baḌh ga.ī

jab talak tanhā thā ghar meñ shaad thā

bazm meñ aayā to vahshat baḌh ga.ī

apnī badnāmī se zālim shaad hai

ho gayā rusvā to shohrat baḌh ga.ī

thā ye ḳhud-ġharzī kā ik radd-e-amal

mere lahje kī baġhāvat baḌh ga.ī

mere ḳhat par us kā aañsū gir gayā

baat chhoTī thī ibārat baḌh ga.ī

Leave a Comment