qudrat-e-haq hai sabahat se tamasha hai vo ruḳh
ḳhal-e-mushkin dil-e-fir.aun yad-e-baiza hai vo ruḳh
nuur jo us men hai ḳhurshid men vo nuur kahan
ye agar husn ka chashma hai to dariya hai vo ruḳh
phuTe vo aankh jo dekhe nigah-e-bad se use
a.ine se dil-e-arif ke musaffa hai vo ruḳh
bazm-e-alam hai tavajjoh se usi ke abad
shahr viran hai agar janib-e-sahra hai vo ruḳh
samri chashm-e-fusun-gar ki fusun-sazi se
lab-e-jan-baḳhsh ke hone se masiha hai vo ruḳh
dam-e-nazzara laḌe marte hain ashiq us par
daulat-e-husn ke pesh aane se duniya hai vo ruḳh
saaya karte hain huma uḌ ke paron se apne
tere ruḳhsar se dilchasp ho anqa hai vo ruḳh
gul ghalat laala ghalat mahr ghalat maah ghalat
koi saani nahin la-sani hai yakta hai vo ruḳh
kaun sa us men takalluf nahin paate har-chand
na murassa na mozahhab na mutalla hai vo ruḳh
ḳhal-e-hindu hain parastish ke liye aa.e hain
putliyan ankhon ki do but hain kalisa hai vo ruḳh
kaun sa dil hai jo divana nahin hai us ka
ḳhat-e-shab-rang se sarmaya-e-sauda hai vo ruḳh
us ke didar ki kyun-kar na hon ankhen mushtaq
dil-ruba shai hai ajab surat-e-zeba hai vo ruḳh
ta-kuja sharh karun husn ke us ke ‘atish’
mahr hai maah hai jo kuchh hai tamasha hai vo ruḳh
Leave a Reply