koi din aur bad-e-fana ham yahan
kaTte jaise koi saza ham yahan
saans ki Dor kamzor hoti hui
tu kahan hai bata ai hava ham yahan
apni pahchan ḳhud se chhupa.e hue
puchhte phir rahe hain pata ham yahan
rah ga.e ḳhvab aur un ki halki kasak
dekhte rah ga.e ratjaga ham yahan
ishq ne barha ham ko rusva kiya
dil ke hathon luTe barha ham yahan
naqsh tha miT gaya ḳhvab tha bujh gaya
kyon khaḌe hain bhala be-nava ham yahan
Leave a Reply