mere nalon se tah-o-bala hui aksar zamin
zer-e-pa aaya falak aur barha sar par zamin
hai dayar-e-mah-ru ka bas yahi qasid nishan
asman tujh ko nazar aa.egi vaan ki sar-zamin
kis taraf ja.un ki ho in do balaon se najat
asman ghar ghar yahi hai aur yahi ghar ghar zamin
baari baari ye mujhe pisen ba-rang-e-asiya
asman din bhar rahe gardish men to shab-bhar zamin
misl-e-ḳhurshid asman jalta hai ah-e-garm se
kanpti hai ThanDi sanson se miri thar-thar zamin
jis jagah hain dafn qatil teri mizhgan ke shahid
vaan evaz sabzi ke paida karti hai nashtar zamin
saikḌon is men ga.e mahbub ja-e-rashk hai
rakhti hai aghosh men kya kya pari-paikar zamin
atish-e-furqat se aalam kora-e-atish hua
asman hai duud ham aḳhgar men aur mujmar zamin
ishq-e-ḳhal-e-yar ne aisa kiya zar-o-nahif
baiThe rahne ko mire kaafi hai ab til bhar zamin
Leave a Reply