main to sau baar tire milne ko aaya tanha
lekin afsos kabhi tujh ko na paaya tanha
shirk se khali kisi ka na nazar aaya dil
vo bade zarf hain jin men tu samaya tanha
kis ko daava nahin ulfat ka tiri aalam men
ashiqon men tire main hi na kahaya tanha
band-e-kakul men tire ji bhi hamara hai asiir
daam men zulf ke dil hi na phansaya tanha
kal ‘jahandar’ ham aur yaar the tuk mil baithe
bakht-e-na-saz ne phir aaj bithaya tanha
Leave a Reply