• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Mohabbat Mein Ye Kya Maqam Aa Rahe Hain

Mohabbat Mein Ye Kya Maqam Aa Rahe Hain

jigar-moradabadi

mohabbat men ye kya maqam aa rahe hain

ki manzil pe hain aur chale ja rahe hain

ye kah kah ke ham dil ko bahla rahe hain

vo ab chal chuke hain vo ab aa rahe hain

vo az-khud hi nadim hue ja rahe hain

khuda jaane kya kya khayal aa rahe hain

hamare hi dil se maze un ke puchho

vo dhoke jo danista ham kha rahe hain

jafa karne valon ko kya ho gaya hai

vafa kar ke bhi ham to sharma rahe hain

vo aalam hai ab yaaro aghyar kaise

hamin apne dushman hue ja rahe hain

mizaj-e-girami ki ho khair ya-rab

kai din se akasr vo yaad aa rahe hain

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Dil Se Paigham-E-Ulfat miTane Ke Baad

Kab Talak Shadabi-E-Fikr-O-Nazar Kaam Aaegi

Hangame Se Wahshat Hoti Hai Tanhai Mein Ji Ghabrae Hai

Kabhi KHuda Kabhi Insan Rok Leta Hai

Mere Lab Tak Jo Na Aai Wo Dua Kaisi Thi

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet