guftugū ek pal rukī bhī nahīñ
baat karnī thī jo huī bhī nahīñ
aise dekho to sab adhūrā hai
vaise dekho to kuchh kamī bhī nahīñ
ham bujhā.eñge ham bujhā.eñge
aag jo Thiik se lagī bhī nahīñ
mujh se ik shikva hai zamāne ko
chaal pūchhī bhī aur chalī bhī nahīñ
rabt TuuTā to TuuT jaane diyā
jism ke saath ruuh thī bhī nahīñ
ham aur aap ik ġhazal kā charba haiñ
vo ġhazal jo abhī huī bhī nahīñ