samajh rahe the ki ab shab ga.i sahar aa.i
tire dayar men vo raushni nazar aa.i
nishat-o-gham ka ta.alluq bhi kya ta.alluq hai
abhi hanse bhi na the ham ki aankh bhar aa.i
mana rahe hain manana tha jin ko jashn-e-bahar
mire nasib men taz.in-e-bam-o-dar aa.i
ye aur baat ki sab kuchh kaha ho sach tu ne
mujhe hansi to tiri baat baat par aa.i
kamal hai ye tasavvur ki mashq-e-paiham ka
tire hijab ki tasvir bhi utar aa.i
vasuq-e-azm pe hain kamraniyan mauquf
ḳhayal-e-rahguzar aate hi rahguzar aa.i
bala se ahd-e-baharan ne dil ko zaḳhm diye
‘nasir’ surat-e-gulzar to nikhar aa.i
Leave a Reply