gham nairang dikhata hai hasti ki jalva-numa.i ka
kitne zamanon ka hasil hai ik lamha tanha.i ka
tere nazuk lab hain goya mausam ka mauzu-e-suḳhan
gulshan gulshan shohra hai shadabi ka ra.ana.i ka
apne gham ki fikr na ki is duniya ki gham-ḳhvari men
barson ham ne dast-e-junun se kaam liya dana.i ka
aalam ke har manzar ko kuchh rang na.e mil jaate hain
kirnen sub.h ki le jaati hain ruup tiri angḌa.i ka
sahil o tufan ke afsane rang-e-haqiqat kya denge
Duub ke ubhro to irfan ho dariya ki gahra.i ka
dil men ‘kausar’ aa.e kitne daur taghayyur ke lekin
naqsh-e-tamanna par jab dekho aalam hai barna.i ka
Leave a Reply