zulfen chhoḌin hain ki joḌa us ne chhoḌa saanp ka
dekhiye kis kis ko Dasta hai ye joḌa saanp ka
gore galon par tire zulfen ye lahrati nahin
yasmin-zar-e-sabahat men hai joḌa saanp ka
ishq un zulfon ka mujh se tark hone ka nahin
hai mira ham-zad ai naseh ye joḌa saanp ka
donon zulfen yaar ki ulTi hain balon par mire
vajd karta hai sada-e-nai ye joḌa saanp ka
munD ga.iin zulfen hain sha.er kis se ab denge misal
ho gaya tashbih ki ḳhatir bhi toḌa saanp ka
umr bhar dil ko ḳhayal-e-gesu-e-pechan raha
dhyan is nadan ne hargiz na chhoḌa saanp ka
nuqra.i mubaf choTi men raha un ki sada
kenchuli ne umr bhar pichha na chhoḌa saanp ka
paḌ ga.i iza-dahandi ki tiri zulfon ko ḳhu
kaTta hai uḌ ke ashiq ko ye joḌa saanp ka
kuchh samajh kar raha huun yaar ki zulfon ki dasht
palta huun apne kaTvane ko joḌa saanp ka
shaam se un gesuon ki yaad men jo so raha
ḳhvab men dekha kiya ta-sub.h joḌa saanp ka
ishq men gesu o abru ke agar deni hai jaan
nish-e-aqrab kha ke pi le zahr thoḌa saanp ka
vaste muuzi ke aḳhir men bhi muuzi ban gaya
sar kisi halat men be-kuchle na chhoḌa saanp ka
ishq-e-gesu men na qatra bhi talaf hone diya
zahr saara halaq men main ne nichoḌa saanp ka
ḳhat pe aate hain bahut lahra ke gesu yaar ke
sabza-e-nau-ḳhez par ghash hai ye joḌa saanp ka
halqa-e-gesu-e-shab ko zarra-e-afshan chuni
raat ko chun chun ke ik ik daant toḌa saanp ka
har qadam par maar kar sar kar raha hai nag-pech
ab chalan sikha hai is muuzi ne thoḌa saanp ka
dushman-e-jani ko apne di na iiza ‘rind’ ne
daant hi toḌa na chhala us ne phoḌa saanp ka
Leave a Reply