ḳhuun oḌhe hue har ghar ka sarapa nikla
aap ke shahr ka andaz nirala nikla
chhu ke ik shaḳhs ko parkha to mulamma nikla
us ko main kaisa samajhta tha vo kaisa nikla
ruuh viran mili rang parida nikla
us ko nazdik se dekha to zamana nikla
sach ke sahra men unhen DhunD ke thak-har ga.e
jhuuT ke shahr men yaron ka basera nikla
ḳhush ho ai dhuup ke nezon se jhulasne vaalo
chand ke dosh pe suraj ka janaza nikla
jis se katra ke nikalte rahe barson sar-e-rah
us se kal haath milaya to vo apna nikla
kahin sahra men bhi Das le na hamen sairabi
ret ke batn se phunkarta dariya nikla
narm-rau tha to sabhi raah se munh moḌ ga.e
sang uThaya to mire saath zamana nikla
vadiyan lafz o ma.ani ki tah-e-ab huiin
kin pahaḌon se ḳhayalat ka jharna nikla
Leave a Reply