raat din silsila-e-umr-e-ravan ki kadiyan
kal jahan ruuh jhulas jaati thi
apne saae se bhi aanch aati thi
aaj usi dasht pe savan ki lagi hain jhadiyan
raat din silsila-e-umr-e-ravan ki kadiyan
shab ko jo vadiyan sunsan rahin
subh yuun os se arasta thiin
har taraf motiyon ki jaise tani hui ladiyan
raat din silsila-e-umr-e-ravan ki kadiyan
tod kar paanv na baitho aao!
subh ke aur qarib aa jaao!
yuun to har haal men katti hi rahengi ghadiyan
raat din silsila-e-umr-e-ravan ki kadiyan
Leave a Reply