• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ye Misra Nahin Hai Wazifa Mera Hai

Ye Misra Nahin Hai Wazifa Mera Hai

khumar-barabankavi

ye misraa nahin hai vazifa mira hai

khuda hai mohabbat mohabbat khuda hai

kahun kis tarah main ki vo bevafa hai

mujhe us ki majburiyon ka pata hai

hava ko bahut sar-kashi ka nasha hai

magar ye na bhule diya bhi diya hai

main us se juda huun vo mujh se juda hai

mohabbat ke maron pe fazl-e-khuda hai

nazar men hai jalte makanon ka manzar

chamakte hain jugnu to dil kanpta hai

unhen bhulna ya unhen yaad karna

vo bichhde hain jab se yahi mashghala hai

guzarta hai har shakhs chehra chhupae

koi raah men aina rakh gaya hai

badi jaan leva hain maazi ki yaden

bhulane ko ji bhi nahin chahta hai

kahan tu ‘khumar’ aur kahan kufr tauba

tujhe parsaon ne bahka diya hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Kabhi Sukun to Kabhi Iztirab Bhi Jhela

Jab Shab-E-Furqat Ki Tariki Se Ghabraata Hun Main

poet

Zargar-O-Haddad KHush Hon Wo Karen Tadbir Hum

aas-fatmi

Khud Se Main Be-Yaqin Hua Hi Nahin

ishrat-afreen

Ye Jang Wo Hai Ki Ab Khud Bhi Haarna Chahun

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet