qafas ki tiliyon se le ke shakh-e-ashiyan tak hai
miri duniya yahan se hai miri duniya vahan tak hai
zamin se asman tak asman se la-makan tak hai
khuda jaane hamare ishq ki duniya kahan tak hai
khuda jaane kahan se jalva-e-janan kahan tak hai
vahin tak dekh sakta hai nazar jis ki jahan tak hai
koi mar kar to dekhe imtihan-gah-e-mohabbat men
ki zer-e-khanjar-e-qatil hayat-e-javedan tak hai
niyaz-o-naz ki rudad-e-husn-o-ishq ka qissa
ye jo kuchh bhi hai sab un ki hamari dastan tak hai
qafas men bhi vahi khvab-e-pareshan dekhta huun main
ki jaise bijliyon ki rau falak se ashiyan tak hai
khayal-e-yar ne to aate hi gum kar diya mujh ko
yahi hai ibtida to intiha us ki kahan tak hai
javani aur phir un ki javani ai maaz-allah
mira dil kya tah-o-bala nizam-e-do-jahan tak hai
ham itna bhi na samjhe aql khoi dil ganva baithe
ki husn-o-ishq ki duniya kahan se hai kahan tak hai
vo sar aur ghair ke dar par jhuke tauba maaz-allah
ki jis sar ki rasai tere sang-e-astan tak hai
ye kis ki laash be-gor-o-kafan pamal hoti hai
zamin jumbish men hai barham nizam-e-asman tak hai
jidhar dekho udhar bikhre hain tinke ashiyane ke
miri barbadiyon ka silsila ya-rab kahan tak hai
na meri sakht-jani phir na un ki tegh ka dam-kham
main us ke imtihan tak huun vo mere imtihan tak hai
zamin se asman tak ek sannate ka aalam hai
nahin maalum mere dil ki virani kahan tak hai
sitamgar tujh se ummid-e-karam hogi jinhen hogi
hamen to dekhna ye tha ki tu zalim kahan tak hai
nahin ahl-e-zamin par munhasir matam shahidon ka
qaba-e-nilgun pahne faza-e-asman tak hai
suna hai sufiyon se ham ne aksar khanqahon men
ki ye rangin-bayani ‘bedam’-e-rangin-bayan tak hai
Leave a Reply