khush-shanasi ka sila karb ka sahra huun main
kaun pahchane ki ik dasht-e-tamanna huun main
sard paani ki zaban chatti rahti hai mujhe
kohar men duuba hua koi jazira huun main
apni viran si ankhon ko saja lo mujh se
phir na haath aunga udta huun sapna huun main
bhuul jaoge mujhe tum bhi sahar hone tak
akhir-e-shab ka koi tutta lamha huun main
tuta-phuta hi sahi phir bhi kashish rakhta huun
mujh se mahzuz to ho lo ki khilauna huun main
ek dushnam hai ye tarz-e-taaruf mujh ko
yaaro is shahr ka derina shanasa huun main
Leave a Reply