Matla-E-Subh Pe Chhai Hai Siyahi Kaisi

matla.a-e-sub.h pe chhā.ī hai siyāhī kaisī

shahr rah rah ke ye letā hai jamāhī kaisī

qarz-e-jāñ aaj chukā deñge magar ye to batā

zindagī maiñ ne tire saath nibāhī kaisī

muddateñ guzrīñ vo ghar chhoḌ chukā hai phir bhī

in darīchoñ meñ hai betāb-nigāhī kaisī

kitnī mahdūd thiiñ mazlūm saroñ kī fasleñ

qatl-gāheñ thiiñ magar lā-mutanāhī kaisī

ittifāqāt haiñ ai shahr-e-siyāsat varna

ham faqīroñ ke liye masnad-e-shāhī kaisī

kis qadar kaaT hai ḳhāmosh-labī meñ ‘sāġhar’

jang be-teġh bhī laḌtā hai sipāhī kaisī

Leave a Comment