na ho hayat ka hasil to bandagi kya hai
jo be-niyaz ho sajdon se zindagi kya hai
sada-bahar chaman men bhi gar nasheman ho
tire baghair jo guzre vo zindagi kya hai
khuda ko maan ke khud ko khuda samajhta hai
ana-parasti sarasar hai bandagi kya hai
bas ham kamal samajhte hai jiite rahne ko
ye karbala ne bataya ki zindagi kya hai
vo jo faqir sifat khud ko kahta phirta hai
qaba harir ki pahne hai sadgi kya hai
Leave a Reply