din raat tumhari yadon se ham zaḳhm sanvara karte hain
pardes men jaise-taise hi ai dost guzara karte hain
ḳhuddar tabi.at hai apni faqon pe basar kar lete hain
ehsan kisi ka duniya men hargiz na gavara karte hain
ab laakh ḳhizaon ka mausam bhi kuchh na gulon ka kar paa.e
ham ḳhun-e-jigar se gulshan ka har rang nikhara karte hain
atraf hamare logon ki ik bhiiḌ thi jab tak paisa tha
ye jeb hui ab ḳhali to sab log kinara karte hain
jab un ke muqabil hote hain vo baat nahin karte ham se
aur duur nazar se hote hi bas zikr hamara karte hain
kyuun zaḳhm dikha.en ham ‘shamsi’ ab kaun laga.ega marham
sab log to dil men hans hans kar ḳhanjar hi utara karte hain
Leave a Reply