• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Holi Ki Bahaaren

Holi Ki Bahaaren

nazeer-akbarabadi

jab phagun rang jhamakte hon tab dekh baharen holi ki

aur daf ke shor khadakte hon tab dekh baharen holi ki

pariyon ke rang damakte hon tab dekh baharen holi ki

khum, shishe, jaam, jhalakte hon tab dekh baharen holi ki

mahbub nashe men chakte hon tab dekh baharen holi ki

ho naach rangili pariyon ka baithe hon gul-ru rang-bhare

kuchh bhigi tanen holi ki kuchh naz-o-ada ke dhang-bhare

dil bhule dekh baharon ko aur kanon men ahang bhare

kuchh table khadken rang-bhare kuchh aish ke dam munh-chang bhare

kuchh ghunghru taal chhanakte hon tab dekh baharen holi ki

saman jahan tak hota hai us ishrat ke matlubon ka

vo sab saman muhayya ho aur baagh khila ho khvabon ka

har aan sharaben dhalti hon aur thath ho rang ke dubon ka

is aish maze ke aalam men ek ghol khada mahbubon ka

kapdon par rang chhidakte hon tab dekh baharen holi ki

gulzar khile hon pariyon ke aur majlis ki tayyari ho

kapdon par rang ke chhinton se khush-rang ajab gul-kari ho

munh laal, gulabi ankhen hon, aur hathon men pichkari ho

us rang-bhari pichkari ko angiya par tak kar maari ho

sinon se rang dhalakte hon tab dekh baharen holi ki

us rang-rangili majlis men vo randi nachne vaali ho

munh jis ka chand ka tukda ho aur aankh bhi mai ke pyali ho

bad-mast badi matvali ho har aan bajati taali ho

mai-noshi ho behoshi ho ”bhadve” ki munh men gaali ho

bhadve bhii, bhadva bakte hon tab dekh baharen holi ki

aur ek taraf dil lene ko mahbub bhavayyon ke ladke

har aan ghadi gat bharte hon kuchh ghat ghat ke kuchh badh badh ke

kuchh naaz jataven lad lad ke kuchh holi gaven ad ad ke

kuchh lachke shokh kamar patli kuchh haath chale kuchh tan bhadke

kuchh kafir nain matakte hon tab dekh baharen holi ki

ye dhuum machi ho holi ki aur aish maze ka jhakkad ho

us khincha-khinch ghasiti par bhadve randi ka phakkad ho

majun, sharaben, nach, maza, aur tikiya sufa kakkad ho

lad-bhid ke ‘nazir’ bhi nikla ho kichad men laththad-paththad ho

jab aise aish mahakte hon tab dekh baharen holi ki

Filed Under: Nazm Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

chhoD Kar Kashanon Ko Tair Gae

KHayal Hai Ki Haqiqat Hai Ya Fasana Hai

poet

Kabhi Sukun to Kabhi Iztirab Jaisa Hai

qateel-shifai

Chandi Jaisa Rang Hai Tera Sone Jaise Baal

Hum Aql Pe Ulfat Mein Bharosa Nahin Karte

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet