shu.ur-e-kaif-o-ḳhushi hai zara Thahr jaao
vufur-e-gham men kami hai zara Thahar jaao
natija johd-e-musalsal ka aage kya hoga
mahall-e-fikr yahi hai zara Thahar jaao
kashakash-e-gham-e-dauran men zinda rahne ki
tumhi se daad mili hai zara Thahar jaao
ye baat tum se koi aur kah nahin sakta
ye baat dil ne kahi hai zara Thahar jaao
tumhare jaane ke ehsas ne jo baḳhsha hai
vo zaḳhm taaza abhi hai zara Thahar jaao
ye raat sirf mah-o-kahkashan ki raat nahin
ye raat tum se saji hai zara Thahar jaao
zaban kalam ki lazzat se kyuun rahe mahrum
nazar nazar se mili hai zara Thahar jaao
phir ab na tum se jo ham mil sake to kya hoga
hayat soch rahi hai zara Thahar jaao
chaman se duur nasheman ki fikr kya ki abhi
taḌap ke barq giri hai zara Thahar jaao
tilism-e-aish tumhari qasam nahin TuuTa
fareb-e-ḳhvab vahi hai zara Thahar jaao
ilaj-e-gardish-e-ayyam ke liye ‘shaukat’
tamam umr paḌi hai zara Thahar jaao
Leave a Reply