Man Le Ab Bhi Meri Jaan-E-Ada Dard Na Chun

maan le ab bhī mirī jān-e-adā dard na chun

kaam aatī nahīñ phir koī duā dard na chun

aur kuchh der meñ mujh ko chale jaanā hogā

aur kuchh der mujhe ḳhvāb dikhā dard na chun

ek bhī dard na kam hogā ka.ī sadiyoñ meñ

ab bhī kahtā huuñ tujhe vaqt bachā dard na chun

vo jo likkhā hai kisī taur nahīñ Tal saktā

aa mire dil meñ koī diip jalā dard na chun

maiñ tire lams se mahrūm na rah jā.ūñ kahīñ

āḳhirī baar mujhe ḳhud se lagā dard na chun

ab to ye reshmī poreñ bhī chhidī jaatī haiñ

ḳhud ko ab baḳhsh bhī de zulm na Dah dard na chun

ye nahīñ hoñge to khaa.e nahīñ ho jā.ūñgā maiñ

mere zaḳhmoñ se koī giit banā dard na chun

kuchh na degā ye masā.il se ulajhte rahnā

chhoḌ sab kuchh mirī bāñhoñ meñ samā dard na chun

Leave a Comment