• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Hum Na-Qishon Ke daur Mein Kaamil Hue To Kya

Hum Na-Qishon Ke daur Mein Kaamil Hue To Kya

poet

ham na-qishon ke daur men kamil hue to kya

ujde hue ilaqe ke aamil hue to kya

ham ko to iftikhar hai paigham-e-yar par

jibril asman se nazil hue to kya

muddat se phir rahi hai chhuri jan-e-zar par

ham aaj tegh-e-yar se bismil hue to kya

daghon men us ke dagh-e-mohabbat ki bu kahan

laale ke phuul ham se muqabil hue to kya

rahat nasib ham ko hui rahmat ai karim

takra ke sar bahisht men dakhil hue to kya

phulon men zar luta na gul-e-surkh ka kabhi

be-faiz log raunaq-e-mahfil hue to kya

us ki sifat yahi hai ki be-mange di murad

dargah men karim ke saail hue to kya

asan hain jo nakhun-e-taqdir tez hai

matlab hamare uqda-e-mushkil hue to kya

murdon ko zinda kijiye nam-avari ye hai

iisa banao aap ko qatil hue to kya

har-dam charagh-e-dil ki idhar lau lagi rahe

ham apni yadgar se ghafil hue to kya

hoga na ek rang khizan-o-bahar ka

budhe agar javanon ke shamil hue to kya

apne maal-e-kar se jab be-khabar hue

hafiz hue to khaak jo fasil hue to kya

tan se mafariqat nahin karti tab-e-firaq

taaviz bhi gale men hamail hue to kya

ai ‘bahr’ baghban ki minnat bala kare

do-char phuul baagh se hasil hue to kya

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Hum Na Mahzuz Hue Hain Kisi Shai Se Aise

poet

Kisi Taraf Jaane Ka Rasta Kahin Nahin

poet

Main Jo Mar Jaun Ajab Aalam Rahe

Misal-E-Mauja-E-KHusbu Bikhar Gae Mere Din

etibar-sajid

Ye Hasin Log Hain Tu Inki Murawwat Pe Na Ja

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet