ishq karte hain to ahl-e-ishq yuun sauda karen
hosh ka sarmaya nazr-e-husn-e-be-parva karen
ham na hon lekin zamane men hamara naam ho
aisi hasti chahiye to mar ke ham paida karen
hai ḳhud-arai kisi ki shan-e-ḳhuddari ke saath
yaani un ko ham na dekhen vo hamen dekha karen
dars-e-irfan ke liye har zarra hai tur-e-kalim
dekhne vaale magar pahle nazar paida karen
sheḳh ko jannat mubarak ham ko dozaḳh hai qubul
fikr-e-uqba vo karen ham ḳhidamt-e-duniya karen
ek dil hai ek hasrat ek ham hain ek tum
itne gham kam hain jo koi aur gham paida karen
‘ahsan’-e-ranjur ko duniya se kya hai vasta
aap ne bimar daala aap hi achchha karen
Leave a Reply