ek nashtar sa rag-e-jan men utarne dena
zinda rahna hai to zaḳhmon ko na bharne dena
aur kuchh der na ai tez havao thamna
jitne bosida hain safhat bikharne dena
teri pahchan ki ik qaus alag ban jaa.e
apne lahje ko zara aur sanvarne dena
chhu ke dekhenge to phir un se bhi nafrat hogi
asmanon ko zamin par na utarne dena
meri bina.i ke sab diip bujha kar jaana
sanehe saare miri jaan guzarne dena
dekhna ḳhvab-zaminen na huun banjar ‘qayyum’
apna ye dard ye ashob na marne dena
Leave a Reply