tum ahl-e-dil ho so dil men rakha hamara naam
vagarna ham bhi hain kya aur kya hamara naam
har ek shaḳhs ke siine men ham dhaḌakte hain
sabhi ke honTon pe hai ja-ba-ja hamara naam
tamam umr ka.i lafz chaak par ghume
tab ek arse men ja kar bana hamara naam
tumhare kanon ki Dhalti hui guphaon men
ba-rang-e-raushni paḌta hua hamara naam
sada kuchh aur hi aa.i thi us ki janib se
hamen laga tha ki us ne liya hamara naam
ḳhamoshiyon ke badan par sada.en likhni thiin
ajiib shaḳhs tha likhne laga hamara naam
phir us ko sun ke bahut der tak sabhi ro.e
koi kahani thi aḳhir men tha hamara naam
Leave a Reply