• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Nahr Jis Lashkar Ki Nigrani Mein Tab Thi Ab Bhi Hai

Nahr Jis Lashkar Ki Nigrani Mein Tab Thi Ab Bhi Hai

nahr jis lashkar ki nigrani men tab thi ab bhi hai

ḳheme valon ki jo basti tishna-lab thi ab bhi hai

uḌ rahe hain vaqt ki raftar se maghrib ki samt

vaqt-e-aghaz-e-safar jo tiira shab thi ab bhi hai

vaqt jaise ek hi saa.at pe aa ke ruk gaya

pahle jis shiddat se jo dil men talab thi ab bhi hai

ham shikayat aankh ki palkon se karte kis tarah

dastan-e-zulm varna yaad sab thi ab bhi hai

husn men fitri hijabana ravish ab ho na ho

ishq ke maslak men jo hadd-e-adab thi ab bhi hai

roz o shab badlenge apne kis tarah aa.e yaqin

surat-e-halat jo pahle ajab thi ab bhi hai

hain baqa ke vasvase men ibtida se mubtala

dil men ik tashvish si jo be-sabab thi ab bhi hai

naam is ka amariyyat ho ki ho jamhuriyat

munsalik fir.auniyat masnad se tab thi ab bhi hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Dil-E-Muztar Ki Dawa Kijiyega

Tujhko Takta Rahta Hun

wajid-ali-shah-akhtar

dstar-E-Faqirana Ek Taj Se Afzun Hai

nazeer-akbarabadi

Yaad Aati Hain Jab Hamein Wo Pahli Chahen

poet

Hath Se Chhu Kar Ye Nila Aasman Bhi Dekhte

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet