• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Bagule Uth Chale The Aur Na Thi Kuchh der Aandhi Mein

Bagule Uth Chale The Aur Na Thi Kuchh der Aandhi Mein

nazeer-akbarabadi

bagule uth chale the aur na thi kuchh der andhi men

ki ham se yaar se aa ho gai mudbhed andhi men

jata kar khaak ka udna dikha kar gard ka chakkar

vahin ham le chale us gul-badan ko gher andhi men

raqibon ne jo dekha ye uda kar le chala us ko

pukare haae ye kaisa hua andher andhi men

vo daude to bahut lekin unhen andhi men kya sujhe

zi-bas ham us pari ko laae ghar men gher andhi men

chadha kothe pe darvaze ko muund aur khol kar parde

laga chhati liye bose kya hat pher andhi men

vo kothe ka makan vo kaali andhi vo sanam gul-ru

ajab rangon ki thahri aa ke hera-pher andhi men

utha kar taaq se shisha laga chhati se dilbar ko

nashon men aish ke kya kya kiya dil sair andhi men

kabhi bosa kabhi angiya pe haath aur gaah siine par

lage lutne maze ke sangtare aur bair andhi men

maze aish o tarab lazzat lage yuun tuut kar girne

ki jaise tuut kar mevon ke hoven dher andhi men

raqibon ki main ab khvari kharabi kya likhun baare

bhari nathnon men un ke khaak das das ser andhi men

kisi ki ud gai pagdi kisi ka phat gaya daman

gai dhaal aur kisi ki gir padi shamshir andhi men

‘nazir’ andhi men kahte hain ki aksar dev hote hain

miyan ham ko to le jaati hain pariyan gher andhi men

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Isi Duniya Ke Isi Daur Ke Hain

Main Tujhko Sochne baiThi to Ye KHayal Aaya

poet

KHalish-E-zaKHm-E-Tamanna Ka Mudawa Bhi Na Tha

Purani Sham Nae Aanganon Ko Roti Hai

Bas Ek Lafz Mera Phul Sa Khila Dega

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet