chak-e-daman-e-qaba dagh-e-junun-saz bahut
ham ne paa.e hain dar-e-yar se e.azaz bahut
ham se puchho ki gham-e-furqat-e-yaran kya hai
ham ne dekhe hain shab-e-hijr ke andaz bahut
raat bhar chand se hoti rahen teri baten
raat khole hain sitaron ne tire raaz bahut
aaj kyuun pahli si kuchh vahshat-e-dil koi nahin
aaj maddham hai shab-e-gham tira aghaz bahut
ek ham hi ne sameTi hai udasi teri
sham-e-gham ham ne uTha.e hain tire naaz bahut
Leave a Reply