ek to ishq ki taqsir kiye jaata huun
us pe main pairvi-e-‘mir’ kiye jaata huun
ma.azarat ghar ke charaghon se karunga kaise
main jo taḳhir pe taḳhir kiye jaata huun
ya.ani tasvir-e-zaman par hai tasarruf itna
dekhta jaata huun tahrir kiye jaata huun
baghban tujh se to main dad-talab huun bhi nahin
peḌ sunte hain main taqrir kiye jaata huun
ye ilaqa na ho dariya ki amal-dari men
main jahan naav ko zanjir kiye jaata huun
aḳhirash ḳhaak uḌa kar sar-e-rahe dil ki
ek duniya ko main dil-gir kiye jaata huun
us ki buniyad men ik ḳham-e-ḳhayali hai ‘na.im’
shahr jo ḳhvab men ta.amir kiye jaata huun
Leave a Reply