hai tanha.i men bahna ansuon ka
sabab chehron ki in shadabiyon ka
ba-zahir main bhi ḳhush aur tu bhi masrur
magar dekhe koi aalam dilon ka
vafa parchha.in ki andhi parastish
mohabbat naam hai mahrumiyon ka
hai apni zindagi jitna purana
ta.alluq aankh se viraniyon ka
har ik chehre pe hai tahrir gham ki
zaruri to nahin khulna labon ka
ye main huun ya koi ma.asum bachcha
ta.aqub kar raha hai titliyon ka
‘kamal’ ab ḳhud bhaTakta phir raha hai
tamanna.i tha uḌti ḳhushbuon ka
Leave a Reply