apni ḳhata ki rakh ke dil zauq-e-ḳhalish na pa sake
aql ki jhiḌkiyan sahin par na fareb kha sake
hijr bhi ek vahm hai vasl bhi ik fareb tha
kho ke na tum ko kho sake pa ke na tum ko pa sake
teri nazar ne bazm men uTh ke hamen biTha diya
uTThe to baar baar ham uTh ke magar na ja sake
jur.at-e-tark-e-ashiqi mujh se na ho saki kabhi
apne ko aazma liya tum ko na aazma sake
kahte hain ma.arifat jise vo bhi hai e’tiraf-e-ijz
us ko ḳhuda samajh liya jo na samajh men aa sake
ishq usi ka mustanad shauq usi ka mo’atabar
teri nigah se bhi jo raz-e-nazar chhupa sake
bas isi talḳh yaad par ḳhatm hai dastan-e-dil
tum ne hamen bhula diya ham na tumhen bhula sake
aa.e vo mai-kade men kyon us ki jagah haram men hai
aankh bacha ke jo piye pi ke na laḌkhaḌa sake
vo jo hai banda-e-vafa kahte hain sab jise ‘raza’
us ki bhala majal kya tum se nazar mila sake
Leave a Reply