kya sar-e-tahrir hai aur kya pas-e-tahrir dekh
ya.ani har ik taḳhrib ke parde men ik tasvir dekh
thi har ik taḳhrib ke parde men ik ta.amir dekh
ghaur se maazi men apne haal ki tasvir dekh
kaun paband-e-vafa hai kaun hai nang-e-vafa
sham.a ki aghosh men parvane ki taqdir dekh
ban gaya hai aaj ki tahzib ka ye aa.ina
har badi ki nekiyon ke naam se tash.hir dekh
dekhna hi hai to tinka dekh apni aankh ka
dusre ki aankh ka ai dost mat shahtir dekh
vaqt ki hoti hain ‘ghazi’ sab karishma-saziyan
munkir-e-taqdir ko bhi ma.il-e-taqdir dekh
Leave a Reply