saare aalam men nuur hai tera
har jagah par zuhur hai tera
sharq se gharb qaaf se ta-qaf
tazkira duur duur hai tera
dil-e-ashiq ko kyuun jalata hai
ye bhi kya koh-e-tur hai tera
main kahan aur tera naam kahan
sab karam ka vafur hai tera
shab-e-furqat ko kyuun daraz kiya
kya ye roz-e-nushur hai tera
us sitamgar ka kya karen shikva
o re dil sab qusur hai tera
rahm kar asman pe ai baari
banda-e-pur-qusur hai tera
is ko kahte hain anjum-e-asi
naam rabb-e-ghafur hai tera
Leave a Reply