• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Jo Hota Aah Teri Aah-E-Be-Asar Mein Asar

Jo Hota Aah Teri Aah-E-Be-Asar Mein Asar

poet

jo hota aah tiri ah-e-be-asar men asar

to kuchh to hota dil-e-shokh-e-fitnagar men asar

bas ik nigah men mashuq chhin len hain dil

khuda ne un ki diya hai ajab nazar men asar

na chhodi gham ne mire ik jigar men khuun ki buund

kahan se ashk ka ho kahiye chashm-e-tar men asar

ho us ke saath ye be-iltifati-e-gul kyuun

jo andalib ke ho nala-e-sahar men asar

kisi ka qaul hai sach sang ko kare hai mom

rakkha hai khaas khuda ne ye sim-o-zar men asar

jo aah ne falak-e-pir ko hila daala

to aap hi kahiye ki haiga ye kis asar men asar

jo dekh le to jahannam ki phere bandh jaae

hai meri aah ke vo ek ik sharar men asar

bigaden charkh se ham ‘aish’ kis bharose par

na aah men hai na soz-e-dil-o-jigar men asar

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Phir lauT Ke Dharti Pe Bhi Aane Nahin Deta

Tum Mere Ghar Jo Shab Basar Karte

ahmad-hamesh

Rehan-Siddiqi Ki Yaad Mein

poet

Fasiq Jo Agar Aashiq-E-Diwana Hua to Kya

poet

Saqi Hain Roz-E-Nau-Bahaar Yak do Sah Chaar Panj O Shash

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet