• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Chashm-E-Hasin Mein Hai Na ruKH-E-Fitna-Gar Mein Hai

Chashm-E-Hasin Mein Hai Na ruKH-E-Fitna-Gar Mein Hai

chashm-e-hasin men hai na ruḳh-e-fitna-gar men hai

duniya ka har fareb fareb-e-nazar men hai

ab kya ḳhabar ki dil men hai kya kya jigar men hai

ab to tiri nazar ka tamasha nazar men hai

iman rakh ke kya karun farsuda chiiz hai

masti mujhe qubul ki teri nazar men hai

nasur dard-e-zaḳhm tapish soz-o-iztirab

saman sau tarah ka dil-e-muḳhtasar men hai

hazir hai us ke vaste jis ko ho aarzu

haan ik lahu ki buund miri chashm-e-tar men hai

qismat se mil ga.i hai ye bedari-e-hayat

is ishq ke nisar ki duniya nazar men hai

mujh ko na din ko chain na shab ko sukun nasib

ik rabt-e-da.imi miri sham-o-sahar men hai

hairat se dekhiye na mire sajda-ha-e-shauq

ye astan kuchh aur hi meri nazar men hai

baaqi hain ba.ad-e-tauba bhi rindi ke valvale

dil men ḳhayal-e-bada hai saghar nazar men hai

achchhi mili hai mujh ko ye divangi-e-shauq

duniya ka har ḳhayal dil-e-be-ḳhabar men hai

do qatra-ha-e-ḳhun sar-e-mizhgan hain muntazir

‘bahzad’ do-jahan ka tamasha nazar men hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

kaifi-azmi

doshiza Malan

Mujhe Pyar Se Tera Dekhna Mujhe Chhup Chhupa Ke Wo Dekhna

Sheikh Saadi

Story 21 – The Morals Of dervishes – Gulistaan-e-Sa.Adii

Libas-E-Chaak Mein Aiwan Ke Aage Nahin Jati

Hosh Kho Kar Josh Mein Kuchh Is Tarah Main Bah Gaya

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet