dil dhundhti hai nigah kisi ki
aine ki hai na aarsi ki
malik mire main ne mai-kashi ki
lekin ye khata kabhi kabhi ki
kya shakl hai vasl men kisi ki
tasvir hain apni bebasi ki
khul jaae saba ki pak-bazi
bu phute jo baagh men kali ki
kam-bakht kabhi na khush hua tu
ai gham tiri har tarah khushi ki
munh ham ne hansi hansi men chuma
jo ho gai baat thi hansi ki
taana sa tana hai mai-kade men
pagdi uchhli hai shaikh-ji ki
ham ko jo diya to aur ka dil
dil le ke ye achchhi dil-lagi ki
yuun bhi to chala na kaam apna
dushman se bhi ham ne dosti ki
paae gae jis men dil ke ajza
hogi vo khaak usi gali ki
aisi hai ki pi sakega vaaiz
hai taaza kashid aaj hi ki
mai khuld men hogi surat-e-hur
maikhane men mushkil hai pari ki
ghar hai na kahin nishan lahad ka
mitti hai kharab be-kasi ki
sach ye hai ki zindagi ho ya maut
har chiiz buri hai muflisi ki
achchhi hai gark se talkh mai se
milti rahe rose rukhi-phiki
kuchh kuchh hai ‘riyaz’ ‘mir’ ka rang
kuchh shaan hai ham men ‘mushafi’ ki
Leave a Reply