badan-darida huun yaaro shikasta-pa huun main
ki jaise apne buzurgon ki bad-dua huun main
vo shaḳhs to kisi andhi surang jaisa hai
aur us se zinda nikalne ka rasta huun main
vo ham-safar hi nahin manta mujhe apna
ye janta huun magar saath chal raha huun main
ye bhuul jaao ki tum mujh ko bhuul jaoge
kabhi to tum se milunga ki hadisa huun main
miri shanaḳht mira chehra-gar bhi kar na saka
‘salim’ itni bulandi se gir paḌa huun main
Leave a Reply