aur duniya men ham ne kya dekha
sirf tera hi rasta dekha
us ne suraj se chaar kiin ankhen
jis ne manzar tha raat ka dekha
siskiyan chand ki sunin ham ne
jab sitaron ko TuTta dekha
mere daman men pyaas kitni thi
main ne dariya ka rasta dekha
husn dekha to ungliyan kaTin
kya karenge agar ḳhuda dekha
har shikan phuuT phuuT kar roi
raat phir ḳhvab-e-karbala dekha
aks apna dhuan dhuan paaya
aaj ‘tariq’ jab aa.ina dekha
Leave a Reply