hu-ba-hu aap hi ki murat hai
zindagi kitni ḳhub-surat hai
jis tarah phuul ki gulistan ko
zindagi ko miri zarurat hai
ḳhaas mehman hain aadam o havva
ik nai duniya ki mahurat hai
kahti hai kuchh zaban se kah ‘akbar’
is tarah kaahe mujh ko ghurat hai
Leave a Reply