• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ujli Ujli Barf Ke Niche Patthar Nila Nila Hai

Ujli Ujli Barf Ke Niche Patthar Nila Nila Hai

ujli ujli barf ke niche patthar niila niila hai

teri yadon men ye sard december niila niila hai

din ki rangat ḳhair guzar jaati hai tere bin lekin

kattha.i kattha.i raton ka har manzar niila niila hai

duur idhar khiḌki par baiThi soch rahi ho mujh ko kya

chand udhar chhat par aaya hai thak kar niila niila hai

teri niili chunari ne kya haal kiya baghiche ka

narangi phulon vaala gul-mohar niila niila hai

badal ke pichhe ka sach ab khola teri ankhon ne

tu jo nihare roz use to ambar niila niila hai

husn bhale ho raushan tera laal gulabi rang liye

ishq ka tere partav lekin dil par niila niila hai

ik to tu bhi saath nahin hai uupar se ye barish uf

ghar to ghar saara ka saara daftar niila niila hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

gulzar

dil Mein Aise Thahar Gae Hain Gham

Hai Zamane Ka Karobar Wahi

Safar Hai KHatm Magar Be-Ghari Na Jaegi

Purkhon Se Jo Mili Hai Wo Daulat Bhi Le Na Jae

Kash paDte Na in Azabon Mein

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet