vo jo tum ne gham diya tha mujhe sazgar hota
agar itna aur hota ki vo ustuvar hota
tiri be-ruḳhi ke sadqe mujhe aa gaya hai jiina
na to ruThta na zalim mujhe gham se pyaar hota
shab-o-roz ke nazare ye karishme rang-o-bu ke
ye tilism toḌ deta agar iḳhtiyar hota
use vaqf-e-ḳhak kar ke kiya ḳhuub tu ne varna
ye vo zarra tha ki uThta to falak pe baar hota
kabhi ek baar bhi to mira tazkira chaman men
ba-zaban-e-gul na hota ba-zaban-e-ḳhar hota
lo suno ki ab zamana tumhen kah raha hai kya kuchh
yahi main jo arz karta tumhen nagavar hota
mire pas-e-zabt-e-gham ko na hua pasand varna
na mujhe qarar hota na tumhen qarar hota
are ‘nur’ kaun sunta tira uzr-e-be-gunahi
tu gunah bhi na karta to gunahgar hota
Leave a Reply