gila-shikva kahan rahta hai dil ham-saz hota hai
mohabbat men to har ik jurm nazar-andaz hota hai
labon par qufl ankhon men lihaz-e-naz hota hai
mohabbat karne valon ka ajab andaz hota hai
ishare kaam karte hain mohabbat men nigahon ke
nigahon se hi baham inkishaf-e-raz hota hai
guzarti hai jo us par sab gavara karta hai ḳhush ḳhush
jafaon se tumhari dil kahan naraz hota hai
har ik se ham to be-shak karte hain talqin ulfat ki
baḌa taqdir vaala hi koi ham-saz hota hai
sukun-e-qalb hasil hai pareshan main nahin dilbar
jo tum se duur hota hai vahi na-saz hota hai
main huun shaki o nazan to faqat is rasm-e-duniya se
vahi ghammaz ho jaata hai jo hamraz hota hai
nahin hai gar ye duniya bhi haqiqat se hi vabasta
to kyuun dil is ki janib ma.il-e-parvaz hota hai
baḌi tabdiliyan hoti hain ulfat un se hone par
zamir-e-ḳhud-gharz ka saz-e-be-avaz hota hai
samajhte hain hamin hain hukmaran is saare aalam ke
nazar men jab hamari vo hasin andaz hota hai
nazar aata hai har su jalva-e-anvar men gharq aalam
dil-e-pur-kaif behis dar-haqiqat baaz hota hai
juda-gana magar andaz hota hai har ashiq ka
machata hai koi ghul koi be-avaz hota hai
safar manzil-ba-manzil tai kiya jaata hai ulfat ka
baḌi muddat men sar vo bargah-e-naz hota hai
vahi hai kamran ashiq jo us ko paar kar jaa.e
dilon ke darmiyan jo ik jahan-e-raz hota hai
baḌha aur un se vaqif ho ki azar-e-gham-e-furqat
dui ke farsh ka ehsas be-andaz hota hai
tanasuḳh hai musalsal ibtida-e-afrinash men
hayat-e-javedan men kaun daḳhl-andaz hota hai
na ham-pesha na ham-ḳhana na ham-piyala na ham-bistar
vahi apna hai ‘rahbar’ jo bhi ham-avaz hota hai
Leave a Reply